Surmayi aakhon se use taakna
Kya kabhi usne mujhe aise dekha hoga?
Doobi rehti hun jiske khwabon mein aajkal
Kya usne mere baare mein kabhi socha hoga?
Keh doon gar kabhi paas aaye toh
Ye ki saare jahan mein uske alawa koi nahi
Lekin paas aaye toh shayad Ishq ho jayega
Khair mera irada ye bhi nahi